Nigare Watan Habib Wali Mohammad [Lyrics]

Nigare Watan
Habib Wali Mohammad

Lyrics

Aay Nigar-e-Watan Tu Salamat Rahay
Maang Teri Sitaroon Say Bhar Dain Gay Hum
Tu Salamat Rahay Tu Salamat Rahay
Aay Nigar-e-Watan Tu Salamat Rahay

Ho Sakee Teray Rukh Par Na Purwan Agar
Aur kis Kaam Aayay Gi Yeh Zindagi
Apnay Khoon Say Barhatay Rahain Gay Sada
Teray Gul Rang Chehray Ki Tabindagi
Jub Tujhay Roshni Ki Zaroorat Parhi
Apni Mehfil Kay Shamso Qamr Dain Gay Hum

Tu Salamat Rahay Tu Salamat Rahay
Aay Nigar-e-Watan Tu Salamat Rahay

Aao Bachon Sahr Kerain Tum ko Pakistan ki Saleem Raza [Lyrics]

Aao Bachon Sahr Kerain Tum ko Pakistan ki
Saleem Raza

Lyrics

Pakistan Zindabad! Pakistan Zindabad!

Aao Bachchoun sair karayen tum ko Pakistan ki
Jis ki khatir ham ne di qurbani lakhoon jaan ki
Pakistan Zindabad! Pakistan Zindabad!

Mashriq mein Bangaal sunehra her ek taraf heryaala hai
Yahaan ka patsun sonay or chandi men tulnay wala hai
Sailaboun ne seencha iss ko toofanoun ne pala hai
Yahaan ka bachcha bachcha apni qoum pe mernay wala hai
Yaheen SirajUddolah ne dunya apni qurban ki
Jis ki khatir ham ne di qurbani lakhoon jaan ki
Pakistan Zindabad! Pakistan Zindabad!

Pakistan Zindabad! Pakistan Zindabad!

Daikho yeh hay sindh yahan zalim Dahir ka tola tha
Yaheen Mohammad Bin Qasim Allah ho Akber bola tha
tooti hoi talwaroun men kia bijli thee kia shola tha
gintee kay kuch ghazi they lakhoon ka lashker tola tha
yahaan kay zarray zarray men ab doulat hay emaan ki
Jis ki khatir ham ne di qurbani lakhoon jaan ki
Pakistan Zindabad! Pakistan Zindabad!

Pakistan Zindabad! Pakistan Zindabad!

Yeh apna Panjaab saja hay baray baray darbaroun se
jagadiya Iqbal ne isko azaadi kay naroon se
iss ke jawanoun ne khela he apnay khoon ke dharoon se
Dushman tharra jaatay hain ab bhee in ki lalkaroon se
door door thak dhaak jami yahaan ke sher jawan ki
Jis ki khatir ham ne di qurbani lakhoon jaan ki
Pakistan Zindabad! Pakistan Zindabad!

Pakistan Zindabad! Pakistan Zindabad!

Yeh ilaaqa sarhad ka he sab ki nirali shaan yahaan
Bandooqoun ki chaoun men bachay howtey hain jawaan yahaan
Thoker men zalzalay yahaan hain mutthee men toofaan yahaan
Sir se kafan baandhey phirta hey daikho her ek Pathaan yahaan
Qaum kahey to abhee laga dain bazi yeh sab jaan ki
Jis ki khatir ham ne di qurbani lakhoon jaan ki
Pakistan Zindabad! Pakistan Zindabad!

Pakistan Zindabad! Pakistan Zindabad!

Aik taraf Khaiber dekho Sarhad ki shaan barhata hai
Shere khuda ki quwat ka afsaana yeh duhraata hai
Aik taraf Kashmir hamain jannat ki yaad dilaata hai
Yeh Ravi or Atak ka pani amrit ko bhee sharmaata hai
Piyaaray shaheedoun ka sadqa he doulat Pakistan ki
Jis ki khatir ham ne di qurbani lakhoon jaan ki
Pakistan Zindabad! Pakistan Zindabad!

Aao Bachchoun sair karayen tum ko Pakistan ki
Jis ki khatir ham ne di qurbani lakhoon jaan ki
Pakistan Zindabad! Pakistan Zindabad!
Pakistan Zindabad! Pakistan Zindabad!

Ae Watn Ke Sajeele Jawanoo Noor Jehan [Lyrics]

Ae Watn Ke Sajeele Jawanoo
Noor Jehan

aye watan ke sajeeley jawanoon [2]
mairey naghmey tumharey liye hain [2]

aye watan k sajeeley jawanoon

sar faroshi hai imaan tumhara
juraatoon ke parastar ho tum
jo hifazat karey sarhadoon kee
woh falak bos deewar ho tum
aye shujaat ke zinda nishaanoon
mairey naghmey tumharey liye hain [2]

Chorus

beewioon maaoon behnoon ki nazarein
tum ko dekhein to yoon jagmagayein
jaisey khamoshioon kee zuban se
dey rahi hoon woh tum ko duayein
qaum ke aye jarein pasbaanoon
mairey naghmey tumharey liye hain [2]

Chorus

Tum pey bhi jo uch likha shayaroon ney
us mein shamil hai awaz mairee
urr pohancho gey tum ufak par
saath jaaye gi parwaaz mairee
chand taroon ke aye raazdaroon
mairey naghmey tumharey liye hain [2]

Chorus

Aey Quaid-e-Azam-Munawar Sultana [Lyrics]

Aey Quaid-e-Azam Tera Ehsan
Munawar Sultana


yun dee hamein azadi ke duniya huee hairaan
ae quaid-e-azam tera ahsaan hai aisa

ae quaid-e-azam tera ahsaan hai aisa

har tin pe musalmano pe chaahee thi tabahee
mulk apna tha aur Gairoon ke haathon mein thee shahee
aise mein utha deen e mohammad ka sipaahi
aur narae e takbeer se dee tu nay gawahee
islam ka jhanda liye aaya sar-E-maidan
ae qaid e azam tera ahsan hae aisa
tera ahsaan hae, tera ahsaan
tera ahsaan hai tera ahsaan


dekha tha jo iqbal ne ek khwaab suhaana
us khwaab ko ik roz hakeekat Hai banana
yeh socha to jo tu nay to hasa tujhpe zamana
har jaal se chaaha tujhe dushman ne harana
maara woh TU NAY daao ke dushman bhi gaye maan
ae quaid e azam tera ahsaan hae aisa
tera ahsaan hae, tera ahsaan
tera ahsaan hai tera ahsaan
tera ahsaan hai tera ahsaan

larne ka dushmano se ajab dhang nikaala
na top na bandook na talwar na bhaala
sachaaee ke anmol asoolon ko sanmbhaala
jinnah tere paigham mein jaadoo tha niraala
Iman waale chal pare sunkar tera parmaan
ae quaid e azam tera ahsaan hae aisa
tera ahsaan hai tera ahsaan
tera ahsaan hai tera ahsaan

punjab se bangal se jawan chal pare
Sindhi Baloochi sarhadi pathan chal pare
GHAR BAAR CHOOR DE SAROO SAMAAN CHAL PARAY
taaq apne mahaJir liye quran chal pare
aur quaid e millat bhi chalay honay ko qurban
ae quaid e azam tera ahsaan hai ahsaan
tera ahsaan hai tera ahsaan
tera ahsaan hai tera ahsaan

naqsha badal ke rakhdiya is mulk ka tunay
SAAYA tha mohammad ka ALI KA tere sarr pe
duniya se kaha tunay koi HUM SE NA ULJHAY
likha hai is zamee pe shaheedon ne lahu se
azad hain azad rahein gay yeA musalmaan
ae quaid e azam tera ahsaan hae aisa
tera ahsaan hai tera ahsaan
tera ahsaan hai tera ahsaan

hai aaj tak hamein woh qayamat ki gharee yaad
mayat pe tere cheekh ke humne jo kee faryad
boli yeh teri rooh na samjho ise bezaar
Islam zinda hota hae har karbala ke baad
Islam zinda hota hae har karbala ke baad

Dar waqt parhe mulk pe hojaaeye qurban
ae quaid e azam tera ahsaan hae aisa
yuun dee hamein aazadi ke duniya huee hairaan
ae quaid-e-azam tera ahsaan hae aisa
tera ahsaan hai tera ahsaan
tera ahsaan hai tera ahsaan

Pakistani National Independence Day/Azadi Songs [Part 3/3]

Pakistan National Patriotic Songs:

Pakistani National Independence Day/Azadi Songs [Part 2/3]

Pakistan National Patriotic Songs: