National Anthem [Written in Urdu]

Ae Mard Mujahid Jaag Zara [Lyrics]


Jeevay Jeevay Pakistan [Lyrics]

jeeevay, jeevay, jeevay, jeevay
jevay, jevay, jevay pakistan
pakistan pakistan, jeevay pakistan
pakistan pakistan, jeevay pakistan

mun panchi jab pankh hila'ay
kia kia sur bikhra'ay hoo
kia kia sur bikhra'ay

sun'nay walay sunein to un mein
aik he dhun lehra'ay ho ho
aik he dhun lehra'ay ho hoo pakistan, pakistan
pakistan pakistan jeevay pakistan

jevay, jevay, jevay pakistan
pakistan pakistan jeevay pakistan
pakistan pakistan jeevay pakistan

bikhray howoon ko bichray howoon ko
ik markaz pay laya hoo
ik markaz pay laya

kitnay sitaroon k jhurmat mein suraj bun ker aaya ho hoo
suraj bun ker aaya ho hoo pakistan pakistan
pakistan pakistan jeevay pakistan

jevay, jevay, jevay pakistan
pakistan pakistan, jeevay pakistan
pakistan pakistan, jeevay pakistan

jhail ga'ay dukh jhailnay walay
jhail ga'ay dukh jhailnay walay
ub hai kaam hamara hoo
ub hai kaam hamara

aik rakhein gay, aik rahay ga
aik hai naam hamara hoo
aik hai naam hamara ho hoo pakistan pakistan
pakistan pakistan, jeevay pakistan

jevay, jevay, jevay pakistan
pakistan pakistan jeevay pakistan
pakistan pakistan jeevay pakistan

Is Parcham Ke Saye Benjamin Sisters [Lyrics]

Is Parcham Ke Saye
Benjamin Sisters
Lyrics

[music]
Is parchum ke saaye tale hum ek hain... hum ek hain
Is parchum ke saaye tale hum ek hain... hum ek hain
Saanchi apni khushiyaaan hoooo....
Saanchi apni khushiyaan aur ghum ek hain... hum ek hain
Is parchum ke saaye tale hum ek hain... hum ek hain
[music]
Ek chuman ke phool hain saare
Ek gagan ke taare...hohoho..
Ek gagan ke taare...
Ek samandar main girtay hain
Sab dariyaon ke dhaare..
Sab dariyaa ke dhaareee
[music]
Judaa judaa hain lahre sargam ek hain... hum ek hain
Saanchi apni khushiyaan hooooo
Saanchi apni khushiyaan aur ghum ek hain... hum ek hain
Is parchum ke saaye tale hum ek hain ... hum ek hain
[music]
Ek hi kashti ke hain musaafir
Ek manzil ke raahi.,....ho hoh oh...
Ek manzil ke raahi
Apni aan pe mitne waale hum jaanbaaz sipaahi
hum jaanbaaz sipaahi....
[music]
Band mutthi ki surat baham ek hain... hum ek hain
Saanchi apni khushiyaan hooo
Saanchi apni khushiyaan aur ghum ek hain.. hum ek hain
Is parchum ke saaye tale hum ek hain..hum ek hain
[music]
Pak watan ki izzat humko apni jaan se pyaari.....hohoho...
apni jaan se pyaari....
Apni shaan hai iske dam se ye hai aan humaari
Ye hai aan humaari
[music]
Apne watan main phool aur shabnam ek hain ... hum ek hain
Saanchi apni khushiyaan hooooo
Saanchi apni khushiyaan aur ghum ek hain... hum ek hain
Is parchum ke saaye tale hum ek hain... hum ek hain
Is parchum ke saaye tale hum ek hain... hum ek hain (repeats)

Hum Zinda Qaum Hain Benjamin Sisters[Lyrics]

Hum Zinda Qaum Hain
Benjamin Sisters

Lyrics

hum zinda quam hain painda quam hain
hum zinda quam hain painda quam hain
hum sab ki hai pehchan, hum sab ka Pakistan
Pakistan Pakistan Pakistan
hum sab ka Pakistan

hum zinda quam hain painda quam hain
hum zinda quam hain painda quam hain
hum sab ki hai pehchan, hum sab ka Pakistan
Pakistan Pakistan Pakistan
hum sab ka Pakistan

har dil ke ufaq per hai chand ek sitara ek
hai kalma bhi wahid, parchim bhi humara ek
har dil ke ufaq per hai chand ek sitara ek
hai kalma bhi wahid, parchim bhi humara ek
hum yak dil hum yak jaan
hum yak dil hum yak jaan

hum zinda quam hain painda quam hain
hum sab ki hai pehchan, hum sab ka Pakistan
Pakistan Pakistan Pakistan
hum sab ka Pakistan

ikhlaas yakeen tanzeem hai milat ka manshoor
har chara O manzil per milat ke dil ka noor
ikhlaas yakeen tanzeem hai milat ka manshoor
har chara O manzil per milat ke dil ka noor
Allah Nabi Quran
Allah Nabi Quran

hum zinda quam hain painda quam hain
hum sab ki hai pehchan, hum sab ka Pakistan
Pakistan Pakistan Pakistan
hum sab ka Pakistan

rehmat ki tarha sir per behnoan ki ridaein hain
himat ke liya humrah maaOn ki duaein hain
rehmat ki tarha sir per behnoan ki ridaein hain
himat ke liya humrah maaOn ki duaein hain
hum per rab ka ihsan
hum per rab ka ihsan

hum zinda quam hain painda quam hain
hum sab ki hai pehchan, hum sab ka Pakistan
Pakistan Pakistan Pakistan
hum sab ka Pakistan

islam ke lashkar mein hain Qasim se farzand
is mulq O milat mein bachay bhi kadi qamand
islam ke lashkar mein hain Qasim se farzand
is mulq O milat mein bachay bhi kadi qamand
borhey bhi chari kaaman
borhey bhi chari kaaman

hum zinda quam hain painda quam hain
hum sab ki hai pehchan, hum sab ka Pakistan
Pakistan Pakistan Pakistan
hum sab ka Pakistan

in millOn machienO ke sab paiyeh ghoomein ge
mazdoor bhi hongey shaad dehkaan bhi jhoomein ge
in millOn machienO ke sab paiyeh ghoomein ge
mazdoor bhi hongey shaad dehkaan bhi jhoomein ge
sona dein ge khalian
sona dein ge khalian

hum zinda quam hain painda quam hain
hum zinda quam hain painda quam hain
hum sab ki hai pehchan, hum sab ka Pakistan
Pakistan Pakistan Pakistan
hum sab ka Pakistan

hum zinda quam hain painda quam hain
hum zinda quam hain painda quam hain
hum sab ki hai pehchan, hum sab ka Pakistan
Pakistan Pakistan Pakistan
hum sab ka Pakistan

Hum Ek Hain [Lyrics]

Hai rang juda mana
hai roop alag mana
nahi chaon alag
nahi dhoop juda
har rang har roop har khawab ki manzil ko
nahi darmiyan lai khabhi yun jor dein har dil ko
key hum ek hain
hum ek hain
hum ek hain

hai rang juda mana
hai roop alag mana
nahi chaon alag
nahi dhoop juda
ankhein hai alag mana
manzil hai juda mana
nahi khawab hai juda nahi dil hai alag
har rang har roop har khawab ki manzil ko
nahi darmiyan lai khabhi yun jor dein har dil ko
key hum ek hain
hum ek hain
hum ek hain
hum ek hain
hum ek hain

Apas Mein Lar Mar Jaye banjaye tamasha hum
Apas main lar mar jaye banjaye tamasha hum
aapney ghar mein choron ko khud hi rasta dein hum
jis deen ka naam hai umnoma uska peygaam bhulaya
hai rang juda mana
hai roop alag mana
nahi chaon alag
nahi dhoop juda
ankhein hai alag mana
manzil hai juda mana
nahi khawab hai juda nahi dil hai alag
har rang har roop har khawab ki manzil ko
nahi darmiyan lai khabhi yun jor dein har dil ko
key hum ek hain
hum ek hain
hum ek hain
hum ek hain
hum ek hain

Rangon naslon sochon mein bat kar yeh kiya paya
Rangon naslon sochon mein bat kar yeh kiya paya
aapney rastey sey humney hat kar ye kiya paya
har aan sey tum har daam laho daman key ye daag lagaya
hai rang juda mana
hai roop alag mana
nahi chaon alag
nahi dhoop juda
ankhein hai alag mana
manzil hai juda mana
nahi khawab hai juda nahi dil hai alag
har rang har roop har khawab ki manzil ko
nahi darmiyan lai khabhi yun jor dein har dil ko
key hum ek hain
hum ek hain
hum ek hain
hum ek hain
hum ek hain

Ek doojey key shaaney par sar rakh kar roain gey
Ek doojey key shaaney par sar rakh kar raoin gey
Ye haal raha aapna tou sab kuch hi kho hain gey
Jago Jago Samlon Yaaro ye waqt ney shor machaya
hai rang juda mana
hai roop alag mana
nahi chaon alag
nahi dhoop juda
ankhein hai alag mana
manzil hai juda mana
nahi khawab hai juda nahi dil hai alag
har rang har roop har khawab ki manzil ko
nahi darmiyan lai khabhi yun jor dein har dil ko
key hum ek hain
hum ek hain
hum ek hain
hum ek hain
hum ek hain
hum ek hain
hum ek hain
hum ek hain
hum ek hain

Hamara Parcham Nahid Akhter [Lyrics]

Hamara Parcham
Nahid Akhter

Lyrics

Yeh chand tare ka jhilmilata nayara parcham

Hamara parcham yeh piyara parcham [2]
yeh parchamon mein azeem parcham [2]
ataa e rab e kareem parcham
Hamara parcham yeh piyara parcham

Hamaray azmat ka pasbaan hai
hamaray milat ka tarjuman hai
hamaray ahsas ka byan hai
hamaray ibrat ka asman hai

Azeem milat azeem parcham [2]
ataa e rab e kareem parcham
Hamara parcham yeh piyara parcham [2]

Faza main naghmay luta raha hai
shaoor e milat jaga raha hai
dil o nazar main sama raha hai
tamam alam pe cha raha hai

Tarange mojay naseem parcham [2]
Hada e rakhay kareem parcham
Hamara parcham yeh piyara parcham [2]

Yehi nishnay hajam hamara
yehi hai apnay karam hamara
yeh jaan hamari yeh dum hamara
rahay ga ooncha alam hamara

Alam hamara azeem parcham [2]
ataa e rab e kareem parcham
Hamara parcham yeh piyara parcham [2]
yeh parchamon mein azeem parcham
ataa e rab e kareem parcham
Hamara parcham yeh piyara parcham [2]

Hai Jazba Junoon-Junoon [Lyrics]

Hai jazba junoon
To himmat na haar
Justajoo jo karey woh
Chuay asmaan

Mehnat apni ho gi
Pehchan kabhi na bhoolo
Sab ki nazron mein
Pakistan
Kabhi na bhoolo

Pakistan hai tumhara
Pakistan hai humara

Apna ghar
Apni sar zameen
Sab kuch hai
Bas yaheen
Itna to hai hum ko yakeen

Barhna hai
Aagey har kadam
Jab tak hai dam mey dam
Ho gi kabhi himmat na kam

Hai jazba junoon
To himmat na haar
Justajoo jo karey woh
Chuay asmaan

Mehnat apni ho gi
Pehchan kabhi na bhoolo
Sab ki nazron mein
Pakistan
Kabhi na bhoolo

Pakistan hai tumhara
Pakistan hai humara

Haathon Mein Haath Ali Haider [Lyrics]

Haathon Mein Haath
Ali Haider

Lyrics

Haathon mein haath liyay, Chalay yonhi karwan
Apni Zameen Hai, Apna hai aasman

Aaein gay ghum, Aayay gi khushi
Manzil Chahay, Mushkil Sahee
Aagay Barhoo

Haathon mein haath liyay, Chalay yonhi karwan
Apni Zameen Hai, Apna hai aasman

Aangan aanagan khushiyan manaein
Apni zameen ko milke sajaein
yehi hai dua

Haathon mein haath liyay, Chalay yonhi karwan
Apni Zameen Hai, Apna hai aasman

Wada karo, saath chalain
Irada karo, saath jeeain
Yunhi Sada

Haathon mein haath liyay, Chalay yonhi karwan
Apni Zameen Hai, Apna hai aasman

Veeran rahain, Raushan banaein
Bhatkay huoon ko, rasta dikhaein
Jeenay ka

Haathon mein haath liyay, Chalay yonhi karwan
Apni Zameen Hai, Apna hai aasman

Dil Mangay Or Ziada [Lyrics]

Dil Maangay
Junaid Jamshed

Lyrics

Dil Maangay Dil Maangay Maangay
Esay Baandhay Pyar Kay Dhaagay
Ek Hain Pakistani Saaray
Mil Jul Kay Hum Jayen Aagay...

Dil Maangay Dil Maangay Maangay
Esay Baandhay Pyar Kay Dhaagay
Ek Hain Pakistani Saaray
Mil Jul Kay Hum Jayen Aagay...

(Dil Maangay..Dil Maangay Maangay!)
(Esay Baandhay..Pyar Kay Dhaagay!)

Haq Talfi Ka Sub Ko Gila Hai
Kya Mehnat Ka Yahan Sila Hai
Zulm, Jabar, Gurbat, Akhlaas
Maayoosi Hai Chaaron Paas
Haq Talfi Ka Sub Ko Gila Hai
Kya Mehnat Ka Yahan Sila Hai
Zulm, Jabar, Gurbat, Akhlaas
Maayoosi Hai Chaaron Paas
Kya Jeena Gheron Kay Sahaaray
Qaum Ki Gherat Ko Lalkaaray
Badal Gareebay
Badlay Daur
Dil Maangay Dil Maangay Aur

Dil Maangay Dil Maangay Maangay
Esay Baandhay Pyar Kay Dhaagay
Ek Hain Pakistani Saaray
Mil Jul Kay Hum Jayen Aagay...

Dil Maangay Dil Maangay Maangay
Esay Baandhay Pyar Kay Dhaagay
Ek Hain Pakistani Saaray
Mil Jul Kay Hum Jayen Aagay...

(Dil Maangay..Dil Maangay Maangay!)
(Esay Baandhay..Pyar Kay Dhaagay!)
(Ek Hain..Pakistani Saaray!)
(Mil Jul Kay..Hum Jaayen Aagay!)

Mushkil Waqt Bhi Kaatna Hoga
Dukh Auron Ka Baantna Hoga
Kitnay Dinon Ka Hai Yeh Andhera
Aakhir Ho Kay Rahay Ga Savera
Mushkil Waqt Bhi Kaatna Hoga
Dukh Auron Ka Baantna Hoga
Kitnay Dinon Ka Hai Yeh Andhera
Aakhir Ho Kay Rahay Ga Savera
Mil Jul Kar Jab Saath Chalain Gay
Abdon Main Hum Aap Dhalain Gay
Khushion Ka Aaye Ga Daur
Dil Maangay Dil Maangay Aur


Dil Maangay Dil Maangay Maangay
Esay Baandhay Pyar Kay Dhaagay
Ek Hain Pakistani Saaray
Mil Jul Kay Hum Jayen Aagay...

(Dil Maangay..Dil Maangay Maangay!)
(Esay Baandhay..Pyar Kay Dhaagay!)
(Dil Maangay..Dil Maangay Maangay!)
(Esay Baandhay..Pyar Kay Dhaagay!)
(Ek Hain..Pakistani Saaray!)
(Mil Jul Kay..Hum Jaayen Aagay!)

Dil Dil Pakistan-Vital Signs [Lyrics]

(d…d…d…dil dil dil dil)
(d…d…d…dil dil dil dil)
(dil dil dil dil dil dil)


aisee zameen aur aasmaan
in kay siwaa jaanaa kahaan
parti rahay yeh roshni
chalta rahay yeh karwaan


dil (dil dil dil) dil pakistan
jaan jaan pakistan
dil dil pakistan
jaan jaan pakistan
(dil dil dil)


dil dil say miltay hain to payaar ka chehrah banta hai
(chehrah banta hai)
pphool ik laree main piroyayn to phir sehrah banta hai
(chehrah banta hai)


dil (dil dil dil) dil pakistan
jaan jaan pakistan
dil dil pakistan
jaan jaan pakistan
(dil dil dil)


aisee zameen aur aasmaan
in kay siwaa jaanaa kahaan
parti rahay yeh roshni
chalta rahay yeh karwaan


dil (dil dil dil) dil pakistan
jaan jaan pakistan
dil dil pakistan


ghar apna to sab ko jee jaan say payaara lagta hai
(taara lagta hai)
ham ko bhi apnay har armaan say payaara lagta hai
(taara lagta hai)


ho…o…o…o
dil dil pakistan
jaan jaan pakistan
dil dil pakistan
jaan jaan pakistan
(dil dil dil)
dil dil pakistan
jaan jaan pakistan
dil dil pakistan
jaan jaan pakistan
(dil dil dil)


jaan jaan pakistan
(dil dil dil)


dil dil pakistan
jaan jaan pakistan
dil dil pakistan
jaan jaan pakistan
(dil dil dil)


dil dil pakistan
jaan jaan pakistan
dil dil pakistan
jaan jaan pakistan
(dil dil dil dil dil dil)

Chand Meri Zameen Amanat Ali Khan [Lyrics]

Chand Meri Zameen
Amanat Ali Khan

Lyrics

Chaand meri zameen
phool mera watan
Chaand meri zameen
Phool mera watan
mere khaiton kee matti main la'l-e-yaman (x2)
chaand meri zameen
phool mera watan

aaa aaa aaa

mere mallah lehron keh paalay huay (x2)
mere dehqaa'n paseenon keh dhaalay huay
mere mazdor iss dor keh koh-kunn (x2)
chaand meri zameen
phool mera watan
chaand meri zameen
phool mera watan

aa aaa aaaa

mere foji jawan jurato'n keh nishaan (x2)
mere ehl-e-qalam azmattoon kee zaban
mere mehnut-kashon keh sunehray badan (x2)
chaand meri zameen
phoool mera watan
chaand meri zameen
phool mera watan
aa aaa aaa aaaa

meri sarhad per pehra hay eemaan ka (x2)
mere shehron peh saaya hay Quraan kaa
mera aik ik sipahi hay khaiber shikan (x2)
chaand meri zameen
phool mera watan

phool mera watan

mere dehqaa'n yunhi hullchalatay rehain (x2)
meri matti ko sona banatay rehain
geet gaatay rehain mere shola-badan (x2)
chaand meri zameen
phool mera watan
chaand meri zameen
phool mera watan
mere khaiton kee matti main lal-e-yaman
mere khaiton kee matti main lal-e-yaman

Ae Watan Pyare Watan-Ustan Amanat Ali Khan [Lyrics]

Ae Watan Pyare Watan-Ustan Amanat Ali Khan

Ae Watan pyaray watan
Ae Watan pyaray watan, pak watan, pak watan
Ae meray pyaray watan

Ae watan paak watan, pak watan, pak watan
Ae meray pyaray watan, ae watan pyaray watannnnnnn
[music]
Tujh say hay meri tamanaon ki duniya pur noor
Tujh say hay meri tamanaon ki duniya pur noor
Azm mera kabhi meray iraday hay ghayoor
Meri hasti may anaa hay meri masti may shaoor
Jaan fiza mera takhayal hay to shirin hay sukhan

Ae Meray pyaray watan
Ae Watan pyaray watan, pak watan, pak watan
Ae meray pyaray watan
Ae watan pyaray watannnnnnn..
[music]
Tu dil afroz baharon ka.........tar-o-taaza chaman
Tu dil afroz baharon ka.........tar-o-taaza chaman
Tu mehaktay huay phoolo ka suhana gulshan
Tu nawaraiz aanadil ka bahaarii maskan
Rang o ahang say ma�amoor teray koh-o-daman

Ae meray pyaray watan
Ae Watan pyaray watan, pak watan, pak watan
Ae meray pyaray watan
Ae watan pyaray watannnnnnn..
[music]
Mera dil teri muhabbat ka hay jaan baksh diyaar
Mera dil teri muhabbat ka hay jaan baksh diyaar
Mera seena teri hurmat ka hay sangeen fasaar
Meray maahboob watan tujh pay agar jaan ho nisaar
May yeh samjhoon gaa thikanay laga sarmaya�e-tan

Ae meray pyaray watan
Ae Watan pyaray watan, pak watan, pak watan
Ae meray pyaray watan
Ae watan pyaray watan..

Ae Rah-E-Haq Ke Shaheedon-Naseem Begam [Lyrics]

Ae Rah-E-Haq Ke Shaheedon
Naseem Begam

Lyrics

Ae Rah e Haq ke Shaheedon,wafa ki tasweeron,
tumhe watan ki hawayein Salam kehti hein,

laganay aag jo aye thay ashianay ko
woh sholay, apne lahoo se bujha diye hai tumhe
Bacha liya hai yateemi se kitne phoolon ko,
Suhag kitni baharon ke Rakh tumne

Tumhain Watan Ke Fazaien Salam Kehtien Hain

Ae Rah e Haq ke Shaheedon,wafa ki tasweeron,
tumhe watan ki hawayein Salam kehti hein,

Chalay jo hoge shahadat ka jaam pi ke tum,
Rasool Paak ne baanhon mei le liya hoga,
Ali tumhari shahadat pe jhoomte hongein,
Hussain pak ne irshaad yeh kiya hoga
tumhe khuda ki Razayein salam kerti hein

Ae Rah-e-Haq Kay Shaheedon, wafa ki tasweeron,
tumhe watan ki hawayein salam kehti hein

Janab e Fatima Jigar e Rasool ke aagay
Shaheed ho ke kiya maa ko sur khuroo tum ne
Janab e Hazrat Zainab gawahi deti hain,
Shaheedo rakhi hai behnon ki aabroo tum ne,

watan ki betiyan, maayein salam kehti hein

Ae Rah e haq kay Shaheedon, Wafa ki tasweeron,
tumhe watan ki hawayein salam kehti hein

Aey Jawan-Awaz [Lyrics]

Aey Jawan
Awaz

Lyrics

Aey Jawan
Aey Jawan
Jeet Hai Tera Nishaan

Aey Jawan
Aey Jawan
Manzil Hai Aasman

Aey Jawan
Aey Jawan
Josh Hai Teri Pehchaan

Aey Jawan
Aey Jawan
Hai tu Hi Pakistan
Jab Tak Hai Jaan Mein Jaan
Tu Josh Ko Rakh Jawan

Hum Kisi Say Kum Nahi
Is Ka Hum Ko Hai Yaqeen
Aankh Utah Kay Dekh Lay
Kisi Mein Itna Dum Nahi
Jaan Watan Per Vaar Dein Hoga Hum Ko Ghum Nahi
Raskh Abb Keray Ga
Saara Zamana
Jab Tak Rahay Ga Jaahan

Aey Jawan
Aey Jawan
Jeet Hai Tera Nishaan

Aey Jawan
Aey Jawan
Manzil Hai Aasman

Aey Jawan
Aey Jawan
Josh Hai Teri Pehchaan

Aey Jawan
Aey Jawan
Hai tu Hi Pakistan
Jab Tak Hai Jaan Mein Jaan
Tu Josh Ko Rakh Jawan

Hum Kisi Say Kum Nahi
Is Ka Hum Ko Hai Yaqeen
Mushkil Khud Per Ro Paray
Dar Hum jaaein Jub Kahein
Raskh Ab Karey Ga
Saara Zamana
Jab Tuk Rahay Ga Jaahan

Aey Jawan
Aey Jawan
Jeet Hai Tera Nishaan

Aey Jawan
Aey Jawan
Manzil Hai Aasman

Aey Jawan
Aey Jawan
Josh Hai Teri Pehchaan

Aey Jawan
Aey Jawan
Hai tu Hi Pakistan
Jab Tak Hai Jaan Mein Jaan
Tu Josh Ko Rakh Jawan

Aey Jawan

Aey Jawan

Pakistani Patriotic Songs Instrumentals

These below files are instrumentals of some most common and evergreen Pakistani Patriotic songs sung at our many national ocasions.
Click on them to download..
If you can provide any other please comment!