Hamara Parcham Nahid Akhter [Lyrics]

Hamara Parcham
Nahid Akhter

Lyrics

Yeh chand tare ka jhilmilata nayara parcham

Hamara parcham yeh piyara parcham [2]
yeh parchamon mein azeem parcham [2]
ataa e rab e kareem parcham
Hamara parcham yeh piyara parcham

Hamaray azmat ka pasbaan hai
hamaray milat ka tarjuman hai
hamaray ahsas ka byan hai
hamaray ibrat ka asman hai

Azeem milat azeem parcham [2]
ataa e rab e kareem parcham
Hamara parcham yeh piyara parcham [2]

Faza main naghmay luta raha hai
shaoor e milat jaga raha hai
dil o nazar main sama raha hai
tamam alam pe cha raha hai

Tarange mojay naseem parcham [2]
Hada e rakhay kareem parcham
Hamara parcham yeh piyara parcham [2]

Yehi nishnay hajam hamara
yehi hai apnay karam hamara
yeh jaan hamari yeh dum hamara
rahay ga ooncha alam hamara

Alam hamara azeem parcham [2]
ataa e rab e kareem parcham
Hamara parcham yeh piyara parcham [2]
yeh parchamon mein azeem parcham
ataa e rab e kareem parcham
Hamara parcham yeh piyara parcham [2]